Friday, September 20, 2013

Santosh

Acharya Chanakya  ne kaha hai ki santosh rupi amrut se trupt aur shant chitt wale manushyo ko jis sukh shanti aur aanand ka anubhav hota hai wah dhan ke lobh me idhar udhar bhatakne walo ko nahi hota
    Kai mamlo me manushay sirf isliye dukhi rahta hai qki wah santoshi swabhav ka nahi hota isliye use kitna bhi mil jaye wah aur jyada pane ke liye lalayit bana rahta hai aur daud dhup karta rahta hai lihaja dhan sampada to prapt kar leta hai par sukh shanti se vanchit rahta hai
   Kam se kam teen bato me to manushya ko santosh karna hi chahiye 1)pati/patni 2) bhojan 3) dhan sampada in teeno ke mamle me santosh na rakhne wala mansik aur shareerik vyadhiyo se bhi peedit hota hai aur bhinn bhinn jhanjhato me bhi fansta rahta hai .is tarah , uske pas jo hai uska sukh bhi nahi le pata hai aur jo aprapt hai uske liye dukhi bana rahta hai.aise pida sur dukh se bachne ka ekmatra tarika hai santosh ko apnana.kaha gaya hai na JO AAYE SANTOSH DHAN, SAB DHAN DHOOL SAMAAN

No comments:

Post a Comment