Wednesday, September 18, 2013

Dukh

Jeevan me dukhi hona koi nahi chahta fir bhee log dukhee hote hai,har prani sukh chahta hai sukhee jeevan chahta hai par sukh milta nahi hai milta bhee hai to jaldee khatm  ho jaataa hai.har vyakti kaa jeevan sukh aur dukh kee anoobhutiyo se bhara rahta hai.kabhi sukh ka anubhav hota hai to kabhi dukh ka.sukh ka anubhav karna sabko achha lagta hai par dukh se dukhi hona kisi ko bhi achha nahi lagta .kuchh log dukh ko bhulane k liye prabhu ki upasna karte hai to kuchh gam galat karne k liye maadak dravyo ka sevan karte hain.waise jaraa gahre me dekha jaye to dukh ka hona ya na hona is par nirbhar karta hai ki ham ise anubhav karte hai ya nahi karte hai.dukh ki matra bhee is baat par nirbhar kartee hai ki dukh ka anubhav ham kitanee maatraa me aur kitanee gahraai se karte hai.ek dukh ek vyakti k liye pahaad k samaan hota hai to dusre k liye maamulee hota hai.darasal dukh ka ghat jana sukh aur sukh kaa ghat jaanaa dukh maalum detaa hai par jeevan me dono kaa hee anubhav hotaa hai.jo gyanee hote hai wo sukh aur dukh  ke prati sambhav rakhte hain.

No comments:

Post a Comment