Friday, September 20, 2013

Santosh

Acharya Chanakya  ne kaha hai ki santosh rupi amrut se trupt aur shant chitt wale manushyo ko jis sukh shanti aur aanand ka anubhav hota hai wah dhan ke lobh me idhar udhar bhatakne walo ko nahi hota
    Kai mamlo me manushay sirf isliye dukhi rahta hai qki wah santoshi swabhav ka nahi hota isliye use kitna bhi mil jaye wah aur jyada pane ke liye lalayit bana rahta hai aur daud dhup karta rahta hai lihaja dhan sampada to prapt kar leta hai par sukh shanti se vanchit rahta hai
   Kam se kam teen bato me to manushya ko santosh karna hi chahiye 1)pati/patni 2) bhojan 3) dhan sampada in teeno ke mamle me santosh na rakhne wala mansik aur shareerik vyadhiyo se bhi peedit hota hai aur bhinn bhinn jhanjhato me bhi fansta rahta hai .is tarah , uske pas jo hai uska sukh bhi nahi le pata hai aur jo aprapt hai uske liye dukhi bana rahta hai.aise pida sur dukh se bachne ka ekmatra tarika hai santosh ko apnana.kaha gaya hai na JO AAYE SANTOSH DHAN, SAB DHAN DHOOL SAMAAN

Wednesday, September 18, 2013

Dukh

Jeevan me dukhi hona koi nahi chahta fir bhee log dukhee hote hai,har prani sukh chahta hai sukhee jeevan chahta hai par sukh milta nahi hai milta bhee hai to jaldee khatm  ho jaataa hai.har vyakti kaa jeevan sukh aur dukh kee anoobhutiyo se bhara rahta hai.kabhi sukh ka anubhav hota hai to kabhi dukh ka.sukh ka anubhav karna sabko achha lagta hai par dukh se dukhi hona kisi ko bhi achha nahi lagta .kuchh log dukh ko bhulane k liye prabhu ki upasna karte hai to kuchh gam galat karne k liye maadak dravyo ka sevan karte hain.waise jaraa gahre me dekha jaye to dukh ka hona ya na hona is par nirbhar karta hai ki ham ise anubhav karte hai ya nahi karte hai.dukh ki matra bhee is baat par nirbhar kartee hai ki dukh ka anubhav ham kitanee maatraa me aur kitanee gahraai se karte hai.ek dukh ek vyakti k liye pahaad k samaan hota hai to dusre k liye maamulee hota hai.darasal dukh ka ghat jana sukh aur sukh kaa ghat jaanaa dukh maalum detaa hai par jeevan me dono kaa hee anubhav hotaa hai.jo gyanee hote hai wo sukh aur dukh  ke prati sambhav rakhte hain.

Tuesday, September 17, 2013

Prem aur moh

Prem aur moh mote taur par ek jaise hi dikhai dete hai par jara gahrai me jaa kar soche to inme bahut fark hota hai.pati-patni se prem karne ka dawa karta hai,patni-pati se prem karne ka dawa karti hai par ye dono shayad hi jante ho ki vastav me wo prem hi kar rahe hain ya moh me pade hue hai.yadi we paraspar aanand aur samarpan ka anubhav karte hain to hi wo prem karne ka dawa kar sakte hai aur yadi dukh tanav aur kalah ka anubhav karte hai to wo prem nahi kar rahe balki ek dusre ke moh me pade hue hai
         Darasal prem ek swachhand aur aanad ku sthiti ka naam hai jiska samband shareer se nahi seedha aatma se hota hai.prem me yadi aasakti bhav ho to wah moh ho jaata hai aur aasakti bhav na ho to bhakti ho jata hai
   Prem to moh aur bhakti ke bich ki ek yatra hai,koi sthir sthiti nahi ek sankraman hai.prem niche girta hai to moh ban jata hai upar uthta hai to bhakti ban jata hai
    Aaskti rahit prem parmatma ka prasad hota hai isliye prem ko parmatma kaha gaya hai
      Prem me dubi hui patni isliye pati me parmeshwar ko dekh pati hai kyoki stri ka hruday ahankar rahit aur samarpan bhav se paripurn hota hai .
Prem se bhara hruday jisse bhi prem karega usi me use parmatma dikhai dene lagega.
Paramatmaa ka darshan karne ke liye bhakti se bhari aankhe chahiye aasakti se bhari aankhe nahi

Friday, September 6, 2013

आलस्य

जीवन  मे उत्साह्हीनता के कारन काम ना करने की प्रव्रुति को आलस्य कहा जाता है. जब हमारे सामने कोइ कारन या लक्ष्य ना हो तो मन मे कुछ करने का विचार नहि आता है ,निराशा शोक या उत्साह्हीनता वली मानसिक दशा मे भी कुछ करने की इछा नही होती है और हम निश्क्रिय जीवन जीने लगते है.....यह आलस्य है
बच्चे आलसी  नही होते है अगर वो बीमार ना हो तो ,बच्चे हि नही नन्हे शिशु भी उर्जा से भरपुर होते है ,उर्जा उन्हे कुछ ना कुछ करने के लिये उकसाती रहती है
,वो उधम करते है ,सामान इधर उधर करते है ,उन्हे खिलौने देने परते है तकि वो उलझे रहे,वो इतने उर्जा से भरे होते है कि जब तक खेल कुद कर थक नही जाते तब तक सोते नही है ,अब प्रश्न उतता है कि इतने छोते प्रानी मे इतनी उर्जा आती कहा से है ?
उर्जा कही से आती नही है ये तो हर जगह रहती है और जह चेतना होती है वहा प्रकत होती है
बच्चे हमारी तरह चिन्ता ग्रस्त नही होते है,निराश नही होते है अभी उन्हे ये नही पता होता है कि आसक्ति क्या होती है,फल  की इछा क्या है ,फल मिलना क्या है और असफलता क्या है इसलिये उनकी उर्जा अव्रोधित नही होती है इसलिये वो आलसी नही होते है. यदि हम भी ऐसी मनसिक अवस्था को पा सके तो आलसी नही हो सकते 

Thursday, August 1, 2013

सन्तान  यदि पैदा ही ना हो तो लोग सन्तान  के अभाव के कारन दुखी रहते है ,सन्तान यदि पैदा होकर मर जाता है तो ज्यादा दुखी हो जाते है ,पर सबसे ज्यादा दुखी तब होते है जब बहुत दुख से व प्यार से पाली   हुइ सन्तान अवग्याकारी ,मुर्ख और नालायक हो जाता है क्योकि मरे हुए क दुख तो कुछ समय के बाद  खत्म हो जाता है पर नालायक तो कदम-कदम पर दुखी करता रहता है ऐसी सन्तान युवा और सुन्दर होकर भी बिना सुगन्ध के फूल जैसा  बेकार होता है जो दिखता तो सुन्दर है पर सुगन्ध नही देता है


Thursday, May 16, 2013

OBESITY

 
avyayamdivaswpn shleshmlahar sevinh
madhuroannras prayh snehanmedovivrdhyet
                                                -BHAV PRAKASH
matlab sharirik shram na karne,din me sone,chikne padartho ke sevan karne se,madhur ras wale padartho ka sevan karne se, kaf badhane wale aahar ka sevan karne se,sharir me med badhta hai

isliye med vridhi ko agar nahi roka jata hai to motapa badhta jata hai,motapa badh jane se charbi sharir ke margo ko rok deti hai jiske karan pet me ghumta hua vayu jatharagni ko badhata hai aur aahar ko sukha deta hai to bhojan jaldi pach jata hai aur bhukh lag jati hai,is tarah bar-bar aur adhik khane se VAT AUR PITT sambandhit rog hote hain.jaise prameh,madhumeh,hruday ki rog,uchch raktchap,thakan,bavasir,jwar,gathiya aadi rog