Tuesday, September 17, 2013

Prem aur moh

Prem aur moh mote taur par ek jaise hi dikhai dete hai par jara gahrai me jaa kar soche to inme bahut fark hota hai.pati-patni se prem karne ka dawa karta hai,patni-pati se prem karne ka dawa karti hai par ye dono shayad hi jante ho ki vastav me wo prem hi kar rahe hain ya moh me pade hue hai.yadi we paraspar aanand aur samarpan ka anubhav karte hain to hi wo prem karne ka dawa kar sakte hai aur yadi dukh tanav aur kalah ka anubhav karte hai to wo prem nahi kar rahe balki ek dusre ke moh me pade hue hai
         Darasal prem ek swachhand aur aanad ku sthiti ka naam hai jiska samband shareer se nahi seedha aatma se hota hai.prem me yadi aasakti bhav ho to wah moh ho jaata hai aur aasakti bhav na ho to bhakti ho jata hai
   Prem to moh aur bhakti ke bich ki ek yatra hai,koi sthir sthiti nahi ek sankraman hai.prem niche girta hai to moh ban jata hai upar uthta hai to bhakti ban jata hai
    Aaskti rahit prem parmatma ka prasad hota hai isliye prem ko parmatma kaha gaya hai
      Prem me dubi hui patni isliye pati me parmeshwar ko dekh pati hai kyoki stri ka hruday ahankar rahit aur samarpan bhav se paripurn hota hai .
Prem se bhara hruday jisse bhi prem karega usi me use parmatma dikhai dene lagega.
Paramatmaa ka darshan karne ke liye bhakti se bhari aankhe chahiye aasakti se bhari aankhe nahi

No comments:

Post a Comment